Sunday, 19 January 2014

KHAMOSHI: 3765

KHAMOSHI:
Aisa darakht hai jis pr karrwa phal nahi lagta,

HASAD:
Aisi deemak hai jo insan ko andar or bahir se khatam karti hai.

SACHAI:
Aisi dawa hai jis ki lazzat karrwi magar taseer shehad se ziyada meethi hai.

ZAHANAT:
Aisa nadir poda hai jo mehnat k bagheir nahi lagta.

KHUSH AKHLAQI:
Aisi khushbu hai jo meelon door se mehsoos ho jati hai.

GUNAH:
Aisi lanat ha jo qalb ko siyah kr daiti hai.

ZAMEER:
Aisa sathi ha jo hamesha haq ki rah dekhata hai.

DUA:
Aisa amal ha jo taqdeer ko maat de sakta hai.

TOUBA:
Aisa darwaza hai jo mout ki hichki tak khula rhe ga.

No comments:

Post a Comment

Shir Comment For Islamic SMS ( jzk )